Khidkiyan Chehron se Khali
Deewaron pe ajab si laali
Sadak pe apni nazar gayi to
Khoon main lipti thi ek baali….
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Aadhey Bharey se Chai ke Pyaley
Chand Jaley Urdu ke Risaaley
Ram ki ek tooti si moorat
Dhuan piye Masjid ke jaaley….
Bheed main kuch chehrey anjaaney
Nayi zubaan par lafz puraney
Talwaron par rakh kar mazhab….
Aaaye they humko samjhaaney
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Sabooton ka mohtaaj kaisa dharam hai
Khuda hai yeh tera ya koi bharam hai
Agar sach hai teri yeh khoon ki kahani
siyahi se darta kyon tera qalam hai….
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Jab Khun ke Badley Khun hi apna naara hai
gar badla lena hi ek farz hamara hai
Fir jali hui apni basti yeh cheekhay kyon
key jeet hui haiwaan ki, khuda phir haara hai…..
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Aman paraston ki basti main
Aman ka Shayad khel hua hai…..
Syed Danish