saathi bhi sab bichadd gaye, ab to khayal kar…..
ya khwahishon ne saari hayaa baich khai hai…
Har raat chahti hai ki de mujh ko khumaari….
palkain bhi poochtii hain ki zid kyon uthayi hai…..
khud pe sitam karoon ya duniya ki maan lun…
dono hi tareeqon main meri jag hasai hai….
aasaan badi lagti hai jo tujhko naseehat…
Khwabon ki tijarat se woh tabeer payi hai….
Bejaan is qadar tha yeh mera muqadma….
humko mili sazaa main ek lambi rihaii hai…..
Advertisements